Home » Archives for August 2025 » Page 14
Qabool kesey karun unka faisla key ye log, Merey khilaf hi mera biyan mangtey hain
Jahan jahan imkan nahin terey aaney ka, Wahan wahan bhi tera intizar hota hai
Apney hathon sey kar diya azaad, Jis parindey main jaan thi meri
Apney hisey ki chaal tum chal bethey, Humarey muntazir rehna, kahani khatam karni hai
Chalo tark e taluq mein ye sukh to paya hum ne Ab taare nahin ginte ab jaaga nahin karte khushk paton ki awaz pe darwaze…
Magar hum musar the ke hum ne kitabein bht parh rakhi hain Baron ne kaha bhi tha ke dekho miyan!! “tajurba tajurba” hai..
Hum nend key ziada shoqeen to nahin faraz!! Kuch khuwab na dekhein to guzara nahin hota…
Terey har ayeb ko bey ayeb dekha, Mein ney apni ankhon mein ye ayeb dekha…
Kaghaz ki ye mehak ,ye nasha ruthney ko hai, Ye akhiri sadi hai kitabon sey ishq ki…
Milte hain aqeedat se mohbat se hamein log Hum halqa e ahbab mein murshid ki tarah hain ملتے ہیں عقیدت سے محبت سے ہمیں لوگ ہم حلقہء_احباب میں مرشد کی طرح ہیں