Page 37 of 63

Main hoon, tum ho, belen, pair, parinday hain

Main hoon, tum ho, belen, pair, parinday hain
میں ہوں، تم ہو، بیلیں، پیڑ، پرندے ہیں

Kitne arsay baad, mukammal jungle hai
کتنے عرصے بعد، مکمل جنگل ہے

Mujh mein koi goshah bhi aabaad nahin
مجھ میں کوئی گوشہ بھی آباد نہیں۔

Jungle hai Sarkaar, musalsal jungle hai
جنگل ہے سرکار، مسلسل جنگل ہے


— Umair Najmi
— عمیر نجمی

Hum khud aazaar the so logon ko

Hum khud aazaar the so logon ko
ہم خود آزار تھے سو لوگوں کو

Aazmaate chale gaye honge
آزماتے چلے گئے ہوں گے

Hum jo duniya se tang aaye hain
ہم جو دنیا سے تنگ آئے ہیں

Tang aate chale gaye honge
تنگ آتے چلے گئے ہوں گے

— Jaun Elia
— جون ایلیا

Ikhtilaf-e-jahaan ka ranj na tha

Ikhtilaf-e-jahaan ka ranj na tha
اختلافِ جہاں کا رنج نہ تھا

De gaye maat hum-khayaal humein
دے گئے مات ہم خیال ہمیں

Kya tawaqqo karein zamaane se
کیا توقع کریں زمانے سے

Ho bhi gar jur’at-e-sawaal humein
ہو بھی گر جرأتِ سوال ہمیں

Hum yahan bhi nahin hain khush lekin
ہم یہاں بھی نہیں ہیں خوش لیکن

Apni mehfil se mat nikaal humein
اپنی محفل سے مت نکال ہمیں


— Ahmed Faraz
— احمد فرازؔ

Tamaam log samajhte hain sabz pair mujhe

Tamaam log samajhte hain sabz pair mujhe
تمام لوگ سمجھتے ہیں سبز پیڑ مجھے

Hawa-e-zard koi aur din, na chheṛ mujhe
ہوائے زرد کوئی اور دن، نہ چھیڑ مجھے

Zara sa waqt laga, khud ko bun liya maine
ذرا سا وقت لگا، خود کو بُن لیا میں نے

Kaha tha itne saleeqe se mat adheṛ mujhe
کہا تھا اتنے سلیقے سے مت ادھیڑ مجھے

— Komal Joya
— کومل جوئیہ

Aur achanak aik taweel safar ke baad

Aur achanak aik taweel safar ke baad

اور اچانک ایک طویل سفر کے بعد

Tum par yeh raaz khulta hai

تم پر یہ راز کھلتا ہے

Ke tumhein is zindagi mein behtareen banne ki khwahish hi nahin

کہ تمہیں اِس زندگی میں بہترین بننے کی خواہش ہی نہیں

Tumhein to bas yeh chahiye ke sukoon-e-dil ke saath baitho

تمہیں تو بس یہ چاہیے کہ سکونِ دل کے ساتھ بیٹھو

Aitidaal ki kefiyat mein raho

اعتدال کی کیفیت میں رہو

Kisi bhi cheez ki parwah na karo

کسی بھی شے کی پروا نہ کرو

Aur har cheez par dil se raazi ho jao

اور ہر چیز پر دل سے راضی ہو جاؤ


احمد خالد توفیق

Waqt ki urti dhool mein apne naqsh gunwaaye phirte hain

Waqt ki urti dhool mein apne naqsh gunwaaye phirte hain
وقت کی اُڑتی دُھول میں اپنے نقش گنوائے پھرتے ہیں

Rim jhim subhoon, roshan shaamon, resham raatoon walay log
رِم جھِم صبحوں، روشن شاموں، ریشم راتوں والے لوگ


— Mohsin Naqvi
— محسنؔ نقوی

Mohabbat ke shajar par khwab ke panchhi utarte hain

Mohabbat ke shajar par khwab ke panchhi utarte hain
محبت کے شجر پر خواب کے پنچھی اُترتے ہیں

To shaakhein jaag uthti hain
تو شاخیں جاگ اُٹھتی ہیں

Thakay haare sitaare jab zameen se baat karte hain
تھکے ہارے ستارے جب زمیں سے بات کرتے ہیں

To kab ki muntazir aankhon mein
تو کب کی منتظر آنکھوں میں

Shamayen jaag uthti hain
شمعیں جاگ اُٹھتی ہیں

Mohabbat un mein jalti hai
محبت اُن میں جلتی ہے

Charagh-e-aab ki surat
چراغِ آب کی صورت

Mohabbat khwab ki surat
محبت خواب کی صورت


— Amjad Islam Amjad
— امجد اسلام امجد

« Older posts Newer posts »

© 2025 Hobbies

Theme by Anders NorenUp ↑